Lyrics
Kiraaye Ka Makaan (Tears)
(Verse 1)
Mai aksar yun hi baitha roz
deewarein taakta hu.
Bhaaga sapne mein ghar k
raste naapta hu.
Mujhe roz-marra zindgi bhi
bojh si lagge.
Mujhe lagge ye nateeja kisi
burre paap ka hai.
Ye sanaata bhi khaaye jaise
awaaz khof ki hai.
Ye khidkiyon ki roshni
bhi aankh nochti hai.
Na jaane kitne saalo se
mera dum ghut rha.
Kiraaye k makaano ne
jo saans rok li hai.
Ab wakht ki chaal bhi
lagge thehr si gyi hai.
Aur fizaaon mein ghul jaise
zehr si gyi hai.
Mai roz uth be disha sa
bhaagna chahta hu.
Pr pairon ki kadiyaan
bhai kaid kar gyi hai.
(Pre-chorus)
Kyu kiraaye k makaano mein
nahi khilte parivaar.
Kyu kiraaye k makaano
mein na hote sagge yaar.
Kyu kiraaye k makaano
mein hoti mayoosi.
Kyu kiraaye k makaano
mein na manne tyohaar.
(Chorus)
Paraaya shehr
Paraaye lok
Paraaye galiyaan
Paraaye dost
Paraaya sansaar saara
Paraaye khud se bhi yaara
Paraayi saans ho gyi hai
Apni aankh ro rhi hai
(Verse 2)
Ek daud si laggi thi
kisi sarrey bazaar mein.
Tha sabko jeetna
koi ni aaya tha haarne.
Sab daud parre ghar
parivaar ko bhool.
Us daud ne bitha diya
kiraaye k makaan mein.
Sab kuch khareed liya.
Kiya poora intzaam.
Ye ghar ban'na chahta tha,
kiraaye ka makaan.
Isme sab sahulat baad bhi
sukoon nahi tha.
Hota bhi kaise,
tha jo kiraaye ka makaan.
Yaha deewaaron mein daraarein kam
hai rishton mein zyaada.
Sabne thode din hi thehrne
ka kiya tha iraada.
Sab ne aadha-aadha baant liya tha
kaam sab mein.
Ye kiraaye ka makaan
kitne sabak sikhaata.
(Pre-chorus)
Tu pathron ka khandar hai
mandir ni bann paayega.
Ye ishq mom sa
tere andr ni jal paayega.
Yaha be-khudi, be-bassi
aur be-dilli si hai.
Ye kiraaye ka makaan kabhi
ghar ni bann paayega
(Chorus)
Paraaya shehr
Paraaye lok
Paraaye galiyaan
Paraaye dost
Paraaya sansaar saara
Paraaye khud se bhi yaara
Paraayi saans ho gyi hai
Apni aankh ro rhi hai
You might also feel